tū na aayā tirī yādoñ kī havā to aa.ī
dil ke tapte hue sahrā pe ghaTā to aa.ī
maiñ to samjhā thā ki ab koī na apnā hogā
tere kūche se magar ho ke sabā to aa.ī
mere marne kī sahī jaañ se guzarne kī sahī
mere haq meñ tere hoñToñ pe duā to aa.ī
dil-dahī kā jo salīqa nahīñ aayā na sahī
aap ko dil ke dukhāne kī adā to aa.ī
ho gayā āp-hī-āp aaj mudāvā apnā
gar masīhā nahīñ aayā to qazā to aa.ī
mujh ko shikva nahīñ ab qāsim-e-qismat se 'shakeb'
kuchh na aayā mire hisse meñ vafā to aa.ī