Shakeb Banarsi

daman-e-zabt ko ashkon mein bhigo leta hun

Shakeb Banarsi

dāman-e-zabt ko ashkoñ meñ bhigo letā huuñ
dard jab had se guzartā hai to ro letā huuñ
aañkh lagtī hī nahīñ niiñd kahāñ se aa.e
niiñd aatī nahīñ kahne ko to so letā huuñ
jab nahīñ miltā anīs-e-ġham-e-furqat koī
rakh ke tasvīr tirī sāmne ro letā huuñ
ab tirī yaad hī taskīn-e-dil-o-jāñ hai mujhe
ab tire dard ke bistar pe bhī so letā huuñ
jab bhī mil jaatī hai fursat ġham-e-duniyā se 'shakeb'
yaad kar ke unheñ tanhā.ī meñ ro letā huuñ
Top Urdushayar.com