tujh par fidā haiñ saare husn-o-jamāl vaale
kyā saaf gaal vaale kyā ḳhatt-o-ḳhāl vaale
mujh rañg-zard uupar ġhusse señ laal mat ho
ai sabz shaal vaale uude rumāl vaale
tahqīq kī nazar señ āḳhir kuuñ ham ne dekhā
aksar haiñ maal vaale kam haiñ kamāl vaale
saaya kuuñ sarv-qad ke DhūñDe pa kahīñ na paa.e
aalam ke faal vaale aur kyā nihāl vaale
gar harf mere ġham kā lā.ūñ zabāñ ke uupar
ho jaa.eñ qaal vaale yak-dam meñ haal vaale
mauzūñ nahīñ kiye haiñ tujh qad sā ek misra
jal ga.e ḳhayāl vaale mar ga.e misāl vaale
gar shab kuuñ sair karne nikle 'sirāj' mah-rū
jāh-o-jalāl vaale hoeñ misāl vaale