nahr jis lashkar kī nigrānī meñ tab thī ab bhī hai
ḳheme vāloñ kī jo bastī tishna-lab thī ab bhī hai
uḌ rahe haiñ vaqt kī raftār se maġhrib kī samt
vaqt-e-āġhāz-e-safar jo tiira shab thī ab bhī hai
vaqt jaise ek hī saa.at pe aa ke ruk gayā
pahle jis shiddat se jo dil meñ talab thī ab bhī hai
ham shikāyat aañkh kī palkoñ se karte kis tarah
dāstān-e-zulm varna yaad sab thī ab bhī hai
husn meñ fitrī hijābāna ravish ab ho na ho
ishq ke maslak meñ jo hadd-e-adab thī ab bhī hai
roz o shab badleñge apne kis tarah aa.e yaqīñ
sūrat-e-hālāt jo pahle ajab thī ab bhī hai
haiñ baqā ke vasvase meñ ibtidā se mubtalā
dil meñ ik tashvīsh sī jo be-sabab thī ab bhī hai
naam is kā āmariyyat ho ki ho jamhūriyat
munsalik fir.auniyat masnad se tab thī ab bhī hai