kis kis kā muñh band karoge kis kis ko samjhāoge
dil kī baat zabāñ par lā ke dekho tum pachhtāoge
aaj ye jin dīvāroñ ko tum ūñchā karte jaate ho
kal ko in dīvāroñ meñ ḳhud ghuT ghuT ke mar jāoge
maazī ke har ek varaq par sapnoñ kī gul-kārī hai
ham se naata toḌne vaalo kitne naqsh miTāoge
haath chhuḌā ke chal to diye ho lekin itnā yaad rakho
aage aise moḌ mileñge saa.e se Dar jāoge
tum ko ādam-zād samajh ke ham ne haath baḌhāyā thā
kis ko ḳhabar thī chhūte hī tum patthar ke ho jāoge
dil sā maskan chhoḌ ke jaanā itnā bhī āsān nahīñ
sub.h ko rasta bhuul ga.e to shaam ko vāpas aaoge
jism ke kuchh bechain taqāze zabt se bāhar hote haiñ
kab tak dil ko dhokā de kar yādoñ se bahlāoge