Murtaza Barlas

ek barg-e-sabz shaKH se kar ke juda bhi dekh

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
ik barg-e-sabz shāḳh se kar ke judā bhī dekh
maiñ phir bhī jī rahā huuñ mirā hausla bhī dekh
zarre kī shakl meñ mujhe simTā huā na jaan
sahrā ke ruup meñ mujhe phailā huā bhī dekh
tū ne to musht-e-ḳhāk samajh kar uḌā diyā
ab mujh ko apnī raah meñ bikhrā huā bhī dekh
maanā ki terā mujh se koī vāsta nahīñ
milne ke ba.ad mujh se zarā aa.ina bhī dekh
tere liye to sirf ishāroñ kā khel thā
mujh ko jo pesh aayā hai vo hādsa bhī dekh
auroñ ke paas jā ke mirī dāstāñ na pūchh
jo kuchh hai mere chehre pe likkhā huā bhī dekh
hamvār rāstoñ pe mirā saath chhoḌ kar
aage nikal gayā thā to ab rāsta bhī dekh
chehre kī chāñdnī pe na itnā bhī maan kar
vaqt-e-sahar to rañg kabhī chāñd kā bhī dekh
Top Urdushayar.com