Murtaza Barlas

chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
chehre pe mere rañg pareshāniyoñ kā hai
dariyā meñ saarā zor hī tuġhyāniyoñ kā hai
ḳhud rahbarān-e-qaum haiñ ālā.ishoñ meñ gum
ham se magar mutāliba qurbāniyoñ kā hai
ahbāb mere is tarah mujh par haiñ ta.ana-zan
jaise ḳhulūs naam hī nādāniyoñ kā hai
sāhil jo kaT ke girte haiñ dariyā kī god meñ
kyā ye qusūr bahte hue pāniyoñ kā hai
insāñ nahīñ hai koī bhī saa.e zarūr haiñ
manzar har ek shahr meñ vīrāniyoñ kā hai
kuchh ḳhauf-e-ehtisāb na suud o ziyāñ kā Dar
ye fā.eda to be-sar-o-sāmāniyoñ kā hai
Top Urdushayar.com