kaash bādal kī tarah pyaar kā saayā hotā
phir maiñ din raat tire shahr pe chhāyā hotā
raah meñ aag ke dariyā se guzarnā thā agar
tū ne ḳhvāboñ kā jazīra na dikhāyā hotā
mujh sī taḳhlīq kā ilzām na aatā tujh par
maiñ agar naqsh-e-ġhalat thā na banāyā hotā
ḳhvāb TuuTe the agar tere bhī merī hī tarah
bojh kuchh terī bhī palkoñ ne uThāyā hotā
lams hāthoñ kā bhī kaafī thā pighalne ke liye
mom ke but ko zamīñ par na girāyā hotā