sāqī-garī kā farz adā kar diyā gayā
paanī kā ghūñT zahr milā kar diyā gayā
bas tajraboñ kī nazr hue apne saare ḳhvāb
kyā ham ne karnā chāhā thā kyā kar diyā gayā
vābastagī kisī kī to is ġham-kade se hai
varna yahāñ pe kaun jalā kar diyā gayā
ab qaid ḳhatm hone kī vo kyā ḳhushī manā.e
par qaiñch kar ke jis ko rihā kar diyā gayā
ḳhū-e-sitam tumheñ dī hameñ ḳhū-e-zabt-e-ġham
sab ko ba-qadr-e-zarf atā kar diyā gayā
ik zikr aisā chheḌā kisī ġham-gusār ne
bharne ko thā jo zaḳhm harā kar diyā gayā