Murtaza Barlas

ghair ke aage ye sar KHam dekhiye kab tak rahe

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
ġhair ke aage ye sar ḳham dekhiye kab tak rahe
be-hisī kā ab ye aalam dekhiye kab tak rahe
dost aur dushman ke chehre tā-ba-kai vāzeh na hoñ
diip kī lau itnī maddham dekhiye kab tak rahe
kab duā.eñ mustajab hoñ kab hamāre din phireñ
dil pareshāñ aañkh pur-nam dekhiye kab tak rahe
raushnī ke jashn meñ haa.el na the shab ke rafīq
chāñd taare aur shabnam dekhiye kab tak rahe
jo muharrik hai mire taḳhlīq-e-fan ke vāste
fikr meñ ye shiddat-e-ġham dekhiye kab tak rahe
kaise kaise sar-kashīda jhuk ga.e ik vaar se
haañ magar sīna-sipar ham dekhiye kab tak rahe
barf bhī pighlegī aur sūraj bhī chamkegā zarūr
sard-mehrī kā ye mausam dekhiye kab tak rahe
Top Urdushayar.com