ye marhale bhī mohabbat ke baab meñ aa.e
ḳhulūs chāhā to patthar javāb meñ aa.e
ḳhushā vo shauq ki dar dar liye phirā mujh ko
zah-e-nasīb ki tum intiḳhāb meñ aa.e
hazār zabt karūñ laakh dil ko bahlā.ūñ
magar vo shakl jo har roz ḳhvāb meñ aa.e
maiñ kyā kahūñ ki tirā zikr ġhair se sun kar
jo vasvase dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ aa.e
hai shahryār kī qurbat se fāsla behtar
rahe jo qurb meñ akasr itaab meñ aa.e
vahīñ qabīla-e-murda-zamīr likh denā
hamārā zikr jahāñ bhī kitāb meñ aa.e
riyā ke daur meñ sach bol to rahe ho magar
ye vasf hī na kahīñ ehtisāb meñ aa.e
maiñ apne des kī miTTī se pyaar kartā huuñ
ye jurm bhī mirī fard-e-hisāb meñ aa.e