Murtaza Barlas

nam bhi achchha sa tha chehra bhi tha mahtab sa

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
naam bhī achchhā sā thā chehra bhī thā mahtāb sā
haañ hameñ kuchh yaad hotā hai magar kuchh ḳhvāb sā
ye mire siine meñ dil rakkhā hai yā koī chakor
chāñdnī rātoñ meñ kyuuñ rahtā huuñ maiñ betāb sā
ho gayā kis zikr se ye murta.ish saarā vajūd
tār-e-sāz-e-dil pe āḳhir kyā lagā mizrāb sā
kuchh kitābeñ aur qalam kāġhaz ke kuchh purzoñ pe sher
mere ghar meñ hai yahī bas qīmtī asbāb sā
paañv rakhte hī bahā kar le gayā sailāb meñ
duur se lagtā thā jo dariyā hameñ pāyāb sā
is tarah ke kuchh havārī saath iisā ke bhī the
jis tarah hai gird mere halqa-e-ahbāb sā
āsmāñ par aañkh sūraj kī na bujh jaa.e kahīñ
hai zamīñ par raushnī kā is qadar sailāb sā
Top Urdushayar.com