umr bhar āñkhoñ kā darvāza khulā rahnā hī thā
kab palaT aa.e koī dhaḌkā lagā rahnā hī thā
jab ḳhulūs-e-dil na shāmil ho to phir kaisā milāp
saath uThte baiThte bhī mas.ala rahnā hī thā
chāhe ham koī jatan karte magar honā thā kyā
be-sabab thā jo ḳhafā us ko ḳhafā rahnā hī thā
ḳhāmushī se bhī mire dil meñ kasak rahnī hī thī
aur kah kar bhī bahut kuchh bin kahā rahnā hī thā
apnā rasta chhoḌ ke jo chal paḌā auroñ ke saath
vo agar rasta bhaTaktā rah gayā rahnā hī thā
rañg bhī āḳhir utarne meñ to kuchh letā hai vaqt
husn āḳhir husn thā jis kā nasha rahnā hī thā
kuchh nahīñ to kyuuñ nahīñ kuchh bhī binā-e-iḳhtilāf
is liye bhī us ko ham se kuchh gila rahnā hī thā
pāsdārī jab qabīle ke rivājoñ kī na kī
phir to zāhir hai qabīle se judā rahnā hī thā