Murtaza Barlas

mauj-dar-mauj nazar aata tha sailab mujhe

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
mauj-dar-mauj nazar aatā thā sailāb mujhe
paañv Daalā to ye dariyā milā pāyāb mujhe
but to duniyā ne ba-har-gām tarāshe lekin
sar jhukāne ke na aa.e kabhī ādāb mujhe
shiddat-e-karb se kumhlā ga.e chehre ke ḳhutūt
ab na pahchān sakeñge mire ahbāb mujhe
ek saaya ki mujhe chain se sone bhī na de
ek āvāz ki kartī rahe betāb mujhe
jis kī ḳhvāhish meñ kisī baat kī ḳhvāhish na rahe
aisī jannat ke dikhā.e na koī ḳhvāb mujhe
vus.ateñ dāman-e-sahrā ko bhī baḳhshī hotīñ
tū ne baḳhshī thī agar fitrat-e-sīmāb mujhe
Top Urdushayar.com