Murtaza Barlas

aankhen hain surKH honT siyah rang zard hai

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
āñkheñ haiñ surḳh hoñT siyah rañg zard hai
har shaḳhs jaise mere qabīle kā fard hai
jab maiñ na thā to merī zamāne meñ guuñj thī
ab maiñ huuñ aur saare zamāne kā dard hai
sūraj meñ aaj jitnī tapish hai kabhī na thī
kyā kījiye ki ḳhuuñ hī rag o pai meñ sard hai
ham kis safar pe nikle ki shakleñ badal ga.iiñ
chehre pe jis ke dekho masāfat kī gard hai
chaltā rahe jo ābla-pā.ī ke bāvajūd
manzil kā mustahiq vahī sahrā-navard hai
aisā na ho sahar merī bīnā.ī chhīn le
bedāriyoñ se ab mirī āñkhoñ meñ dard hai
bikhrā huā huuñ ḳhvāhish-o-hasrat ke darmiyāñ
jaise mirā vajūd abhī fard fard hai
Top Urdushayar.com