Murtaza Barlas

duniya ko dekhiye zara aankhen to kholiye

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934

duniyā ko dekhiye zarā āñkheñ to kholiye

sūraj chaḌhā hai sar pe baḌī der so liye

saarī masarrateñ tirī ḳhushiyoñ pe vaar diiñ

jitne bhī ġham mile tire ġham meñ samo liye

ham ko na-jāne kyā huā phūloñ ko dekh kar

hāthoñ meñ ham ne jaan ke kāñTe chubho liye

majbūriyāñ kaheñ ki ise sādgī kaheñ

jis ne bhī hañs ke baat ham saath ho liye

rū-e-ḳhitāb hai kisī nāzuk-mizāj se

chehre pe haal likhiye nigāhoñ se boliye

siipī khulī rahegī jo motī nikal ga.e

āñkhoñ sīpiyoñ se javāhar na roliye

taaza rakhā hai zehn meñ karb-e-shikastagī

jab kuchh na ban paḌā to kahīñ chhup ke ro liye

Top Urdushayar.com