tum ik aise shaḳhs ko pahchānte ho yā nahīñ
jis kā chehra boltā hai aur lab goyā nahīñ
sub.h ko dekhā to do ghaav mire chehre pe the
raat kuchh rone kī ḳhvāhish thī magar royā nahīñ
phailtā jaatā hai ḳhud-rav sabza-e-ġham chār-sū
khet vo kāTūñgā jo maiñ ne kabhī boyā nahīñ
ḳhvāb dekhā thā koī bachpan kī kachchī niiñd meñ
dosto phir chain se maiñ aaj tak soyā nahīñ
zīnat-e-malbūs-e-hastī baḌh ga.ī jis daaġh se
zindagī bhar maiñ ne aise daaġh ko dhoyā nahīñ