sādgī yuuñ āzmā.ī jā.egī
nit-na.ī tohmat lagā.ī jā.egī
jāgte guzrī hai saarī zindagī
ab hameñ lorī sunā.ī jā.egī
soch kā rauzan bhī āḳhir kyuuñ rahe
raushnī ye bhī bujhā.ī jā.egī
sab purāne ghar girā.e jā.eñge
ik na.ī duniyā basā.ī jā.egī
dauḌ hogī aur vo bhī shauqiya
dhuul bastī meñ uḌaa.ī jā.egī
āsmāñ ko bhī na baḳhshā jā.egā
chāñd par kālak lagā.ī jā.egī
ye jazīra tab hameñ apnā.egā
jab har ik kashtī jalā.ī jā.egī