Murtaza Barlas

zara si baat pe naraazgi agar hai yahi

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
zarā sī baat pe nārāzgī agar hai yahī
to phir nibhegī kahāñ dostī agar hai yahī
tumheñ duā bhī ham āsūdgī kī kaise deñ
jo ham ne dekhī hai āsūdgī agar hai yahī
hameñ bikharnā to hai kal nahīñ to aaj sahī
hamārā kyā hai tumhārī ḳhushī agar hai yahī
abhī na-jāne hameñ kitne dost khone paḌeñ
hamārī bātoñ meñ be-sāḳhtagī agar hai yahī
maiñ dil meñ rakhtā nahīñ muñh pe saaf kahtā huuñ
kamī ye mujh meñ hai be-shak kamī agar hai yahī
jo raah bhaTkūñ to us kī galī meñ aa niklūñ
ḳhushā-nasīb mirī gumrahī agar hai yahī
misāl denī to apnī hī zaat kī denī
to phir ġhurūr hai kyā ājizī agar hai yahī
Top Urdushayar.com