Siraj Aurangabadi

agar kuchh hosh hum rakhte to mastane hue hote

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
agar kuchh hosh ham rakhte to mastāne hue hote
pahuñchte jā lab-e-sāqī kuuñ paimāne hue hote
abas in shahriyoñ meñ vaqt apnā ham kiye zaa.e
kisī majnūñ kī sohbat baiTh dīvāne hue hote
na rakhtā maiñ yahāñ gar ulfat-e-lailā nigāhoñ kuuñ
to majnūñ kī tarah aalam meñ afsāne hue hote
agar ham āshnā hote tirī begāna-ḳhūī siiñ
barā-e-maslahat zāhir meñ begāne hue hote
zi-bas kāfir-adāyoñ ne chalā.e sañg-e-be-rahmī
agar sab jam.a kartā maiñ to but-ḳhāne hue hote
na kartā zabt agar maiñ girya-e-be-iḳhtiyārī kuuñ
guzartā jis taraf ye puur vīrāne hue hote
nazar chashm-e-ḳharīdārī siiñ kartā dilbar-e-nādāñ
agar qatre mire aañsū ke durdāne hue hote
mohabbat ke nashe meñ ḳhaas insāñ vāste varna
farishte ye sharābeñ pī ki mastāne hue hote
evaz apne garebāñ ke kisī kī zulf haat aatī
hamāre haat ke panje magar shāne hue hote
tirī shamshīr-e-abrū siiñ hue sanmukh va illā na
ajal kī teġh siiñ jyuuñ aarā dandāne hue hote
maza jo āshiqī meñ hai so māshūqī meñ hargiz niiñ
'sirāj' ab ho chuke afsos parvāne hue hote
Top Urdushayar.com