Murtaza Barlas

jite-ji mere har ek mujh pe hi tanqid kare

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
jīte-jī mere har ik mujh pe hī tanqīd kare
aur mar jā.ūñ to duniyā mirī taqlīd kare
maiñ to kahtā huuñ ki tum abr-e-karam ho lekin
kaash sahrā mire alfāz kī tā.īd kare
jab har ik baat nihāñ tishna-e-takmīl rahe
phir kare koī to kyā jur.at-e-tam.hīd kare
pahle har shaḳhs garebān meñ apne jhāñke
phir ba-sad-shauq kisī aur pe tanqīd kare
maiñ samajhtā huuñ ki mujh sā koī maġhmūm nahīñ
haal har shaḳhs kā lekin mirī tardīd kare
maiñ hī ab zahar piye letā huuñ sach kī ḳhātir
koī to sunnat-e-suqrāt kī tajdīd kare
vo marī jur.at-e-parvāz ko kyā samjhegā
jo fazāoñ ko muhīt-e-mah-o-ḳhurshīd kare
Top Urdushayar.com