Murtaza Barlas

tum agar chaho kabhi biphra samundar dekhna

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
tum agar chāho kabhī biphrā samundar dekhnā
chaudhvīñ meñ tum mirī āñkhoñ kā manzar dekhnā
jo havāle se mire mahfil meñ pahchāne ga.e
zikr par mere unhī logoñ ke tevar dekhnā
zaḳhm gin kar kyā karoge kār-e-jāñ-sozī hai ye
jo paḌe hoñge abhī raste meñ patthar dekhnā
log kahte haiñ ki tum patthar ho insāñ to nahīñ
ab to majbūrān paḌegā tum ko chhū kar dekhnā
aaj tak bhī maslahat-koshī hameñ aa.ī nahīñ
hai yahī to ek ḳhāmī apne andar dekhnā
us ko ab ham zulm samjheñ yā ki ġham-ḳhvārī tirī
ḳhud rulānā aur phir hamdard ban kar dekhnā
ye na ho ki nā-mukammal hī rahe manzil kā ḳhvāb
tez-raftārī meñ lag jaatī hai Thokar dekhnā
jab khaḌe hoñge ye sab fir.aun mulzim kī tarah
vo adālat jo lagegī roz-e-mahshar dekhnā
Top Urdushayar.com