hamāre qaul o amal meñ tazād kitnā hai
magar ye dil hai ki ḳhush-e'tiqād kitnā hai
ki jaise rañg hī le aa.egā lahū apnā
vafā pe apnī hameñ e'timād kitnā hai
ye jāntā hai ki va.ada-shikan hai vo phir bhī
dil us ke vāda-e-fardā pe shaad kitnā hai
vo jis ne mujh ko farāmosh kar diyā yaksar
vo shaḳhs mujh ko magar ab bhī yaad kitnā hai
hai ab to saare marāsim kā inhisār us par
kisī kī zaat se ham ko mafād kitnā hai
har ek soch hai ālūda-e-havas yaaro
ragoñ meñ qatra-e-ḳhūñ kā fasād kitnā hai
hai yuuñ to mere raqīboñ meñ iḳhtilāf bahut
mire ḳhilāf magar ittihād kitnā hai