Murtaza Barlas

ek bar hi ji bhar ke saza kyun nahin dete

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
ik baar hī jī bhar ke sazā kyuuñ nahīñ dete
gar harf-e-ġhalat huuñ to miTā kyuuñ nahīñ dete
aise hī agar mūnis-o-ġham-ḳhvār ho mere
yaaro mujhe marne kī duā kyuuñ nahīñ dete
ab shiddat-e-ġham se mirā dam ghuTne lagā hai
tum reshmī zulfoñ kī havā kyuuñ nahīñ dete
fardā ke dhuñdlakoñ meñ mujhe DhūñDne vaalo
maazī ke darīchoñ se sadā kyuuñ nahīñ dete
motī huuñ to phir sozan-e-mizhgāñ se piro lo
aañsū ho to dāman pe girā kyuuñ nahīñ dete
saaya huuñ to phir saath na rakhne kā sabab kyā
patthar huuñ to raste se haTā kyuuñ nahīñ dete
Top Urdushayar.com