Murtaza Barlas

nind bhi tere bina ab to saza lagti hai

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
niiñd bhī tere binā ab to sazā lagtī hai
chauñk paḌtā huuñ agar aañkh zarā lagtī hai
fāsla qurb banā qurb bhī aisā ki mujhe
dil kī dhaḌkan tire qadmoñ kī sadā lagtī hai
dushman-e-jāñ hī sahī dost samajhtā huuñ use
bad-duā jis kī mujhe ban ke duā lagtī hai
ḳhud agar naam luuñ terā to laraztā hai badan
ġhair gar baat kare choT sivā lagtī hai
aise mahbas meñ janm apnā huā hai ki mujhe
har darīche se baḌī sard havā lagtī hai
tanz-āmez nahīñ hai mirā andāz-e-suḳhan
talḳh be-shak hai magar baat judā lagtī hai
Top Urdushayar.com