badan meñ jaag uThī kapkapāhaTeñ kaisī
maiñ sun rahā huuñ ye fardā kī āhaTeñ kaisī
makīñ ko yaad hazīmat kī dāstāñ hai magar
to us ke ghar meñ haiñ ye jagmagāhaTeñ kaisī
shikast-e-dil kā jo ehsās ab bhī zinda hai
to phir ye hoñToñ pe haiñ muskurāhaTeñ kaisī
vajūd TuuT rahā ho to kaisī naġhmagarī
jo dil sukūñ se na ho gungunāhaTeñ kaisī
farāz-e-dār muqaddar bane ki zahr kā jaam
dayār shauq meñ ab hichkichāhaTeñ kaisī
samajh ke sañg jise chhū liyā badan to na thā
ragoñ meñ dauḌ ga.iiñ sarsarāhaTeñ kaisī
qubūl-e-ām kā mansab jo mere fan ko milā
to dostoñ ko huiiñ tilmilāhaTeñ kaisī