saare zālim agar saf-ba-saf ho ga.e
ham tahī-dast bhī sar-ba-kaf ho ga.e
vo jo kuchh bhī na the ab haiñ sab kuchh vahī
dar-ba-dar saare ahl-e-sharaf ho ga.e
kūza-gar kā kamāl-e-hunar kyā huā
jab na kuuza bane ham ḳhazaf ho ga.e
ye tirī yaad ke ashk the is liye
aañkh meñ misl-e-durr-e-sadaf ho ga.e
munsalik ik ḳhushī se huī har ḳhushī
saare ġham ek hī ġham meñ laf ho ga.e
baat us se sar-e-rāh kyā ham ne kī
nāvak-e-dostāñ kā hadaf ho ga.e
ab hamārī safā.ī meñ aa.e ho tum
jab ki bad-nām ham har taraf ho ga.e
nashr hotī rahīñ un kī bas ḳhūbiyāñ
jumle tanqīd ke sab hazaf ho ga.e
vo talab kar rahe haiñ vafādāriyāñ
munharif jo uThā kar halaf ho ga.e
mujrmoñ ko murā.āt itnī milīñ
ki jarā.em bhī shuġhl-o-shaġhaf ho ga.e
tuf ye aulād-e-be-his ki jis ke sabab
rā.egāñ kār-hā-e-salaf ho ga.e