ham-zamīroñ se jo bhaTkā.e vo e.azāz na de
shauq se tū mujhe ab quvvat-e-pardāz na de
dā.ere TuuT na jaa.eñ mire ḳhvāboñ ke kahīñ
so gayā huuñ mujhe ab koī bhī āvāz na de
tujh ko denā hai agar talḳhi-e-anjām kā zahr
dene vaale mujhe ḳhush-fahmī-e-āġhaz na de
rāz-dāroñ kā kahā maan ke ye haal huā
mashvara koī mujhe ab mirā hamrāz na de
yā fazāoñ ko muhīt-e-mah-o-ḳhurshīd na kar
yā mirī fikr ko tū jur.at-e-parvāz na de
yā zamāne ko tū mahrūm-e-samā.at kar de
yā mujhe dard meñ Duubī huī āvāz na de