Siraj Aurangabadi

aghyar chhoD mujh sen agar yar howega

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
aġhyār chhoḌ mujh señ agar yaar hovegā
shāyad ki yaar mahram-e-asrār hovegā
būjhegā qadr mujh dil-e-āshufta-hāl kī
phāñde meñ zulf ke jo giraftār hovegā
be-fikr maiñ nahīñ ki sanam mast-e-ḳhvāb hai
kyā kyā balā karegā jo bedār hovegā
pinhāñ rakhā huuñ dard kuuñ lohū kī ghūñT pī
kahtā nahīñ kisī señ ki iz.hār hovegā
bazm-e-junūñ meñ sāġhar-e-vahshat piyā jo kui
ġhaflat señ aql-o-hosh kī hushiyār hovegā
terī bhañvoñ kī teġh ke paanī kuuñ dekh dil
aTkā hai is sabab ki nadī paar hovegā
rañgīñ na kar tuuñ dil kā mahal naqsh-e-aish señ
ġham ke tabar señ maar ki mismār hovegā
barjā hai yaar mujh pe agar mehrbān hai
bulbul pe gul baġhair kise pyaar hovegā
jaatā nahīñ hai yaar kī shamshīr kā ḳhayāl
ma.alūm yuuñ huā ki gale haar hovegā
inkār mujh kuuñ niiñ hai tirī bandagī satī
yaañ kyā hai balki hashr meñ iqrār hovegā
mujh paas phir kar aave agar vo kitāb-rū
maktab meñ dil ke dars kā takrār hovegā
sehn-e-chaman meñ dekh tere qad kī rāstī
har sard tujh salām kuuñ ḳhamdār hovegā
us chashm-e-nīm-ḳhvāb kī dekhe agar bahār
nargis chaman meñ taḳhta-e-dīvār hovegā
us zulf-e-ambarīñ señ jo yak taar jhaḌ paḌe
har ḳhūb-rū kuuñ turra-e-dastār hovegā
ai jaan mere paas señ yak-dam judā na ho
jiinā tire firāq meñ dushvār hovegā
rakhtā hai garche aa.ina faulād kā jigar
tīr-e-nigah ke sāmne lāchār hovegā
mat ho shab-e-firāq meñ be-tāb ai 'sirāj'
ummīd hai ki sub.h kuuñ dīdār hovegā
Top Urdushayar.com