ham ki tajdīd-e-ahd-e-vafā kar chale ābrū-e-junūñ kuchh sivā kar chale
ḳhud to jaise kaTī zindagī kaaT lī haañ na.e daur kī ibtidā kar chale
zard sūraj kī mash.al bhī kajlā ga.ī chāñd tāroñ ko bhī niiñd sī aa ga.ī
ab kisī ko agar raushnī chāhiye apnī palkoñ pe sham.eñ jalā kar chale
haal apnā har ik se chhupāte rahe zaḳhm khāte rahe muskurāte rahe
terī tash.hīr ham ne gavārā na kī dard-e-dil ham tirā haq adā kar chale
laakh ilzām par ham ko ilzām do aur tar-dāmanī ke fasāne kaho
tum meñ aisā bhī koī to ho dosto do-qadam hī sahī sar uThā kar chale
choT jo bhī paḌī Thiik dil par paḌī us pe bhī ham ne tark-e-talab to na kī
ham to miT ke bhī ai gardish-e-āsmāñ tere shāne se shāna milā kar chale