jab zarā huī aahaT shāḳh par hile patte
peḌ so ga.e lekin jāgte rahe patte
saikaḌoñ parindoñ ne oḌh lī ridā jaise
raat kī siyāhī meñ oT ban ga.e patte
surḳh ḳhuun shāḳhoñ kā hai vajūd meñ shāmil
dekh kar fazā lekin sabz ho ga.e patte
jaise un ke dāman par dhuul thī na dhabba thā
ik zarā sī bārish se kaise dhul ga.e patte
jab bhī lū chalī yaaro sabz rut badalne ko
tāliyāñ bajā.eñge phir yahī hare patte
jañgaloñ meñ ḳhāmoshī habs kī alāmat hai
tāzgī sī dete haiñ bolte hue patte
be-libās ho kar bhī peḌ to rahe qaa.em
hijratoñ ke mausam ne dar-ba-dar kiye patte
ab chaman kī rakhvālī mashġhala hai bachchoñ kā
phuul jab nahīñ paa.e nochne lage patte