milte hī ḳhud ko aap se vābasta kah diyā
mahsūs jo kiyā vahī bar-jasta kah diyā
ḳhurshīd-e-sub.h-e-nau ko shikāyat hai dosto
kyuuñ shab se ham ne sub.h ko paivasta kah diyā
maiñ chup huā to zaḳhm mire bolne lage
sab kuchh zabān-e-hāl se lab-basta kah diyā
chaltā rahā to dasht-navardī kā tanz thā
Thahrā zarā to aap ne pā-basta kah diyā
dekhī ga.ī na aap kī andoh-ḳhātirī
kāñTe mile to un ko bhī gul-dasta kah diyā
dekhā to ek aag kā dariyā thā maujzan
is dard-e-nā-sazā ne jise rasta kah diyā
mujrim the vo jo kar na sake irtikāb-e-jurm
mulzim huuñ maiñ jo raaz thā sar-basta kah diyā
nā-āshnā-e-soz-e-darūñ kyā samajh sakeñ
kyuuñ ḳhud ko ham ne aaj jigar-ḳhasta kah diyā