va.ada jo thā nibāh kā tum ne vafā nahīñ kiyā
ham ne to aaj tak tumheñ dil se judā nahīñ kiyā
ham hī vo kam-nasīb the māñge milī na maut bhī
aap kā kyā qusūr hai aap ne kyā nahīñ kiyā
mom hue pighal ga.e sañg bane chaTaḳh ga.e
phir bhī zabāñ se aaj tak ham ne gila nahīñ kiyā
dasht-e-talab meñ har sadā guuñj banī bikhar ga.ī
kis ko sulagtī ret ne ābla-pā nahīñ kiyā
vo to ye kahiye saḳht-jāñ ham the ki vaar sah ga.e
tum ne vagarna ek bhī tiir ḳhatā nahīñ kiyā
aaj vafā kā vāsta detā hai vo sitam-zarīf
jis ne ġhurūr-e-husn meñ ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ kiyā
vaise to sab ba-zom-e-ḳhvesh sachche haiñ len-den ke
miTTī kā jis pe qarz thā us ne adā nahīñ kiyā