baat be-shak na kareñ aap idhar dekheñ to
log kis haal meñ haiñ ek nazar dekheñ to
ḳhair honā to vahī hai jo ḳhudā chāhegā
phir bhī kar sakte haiñ ham log jo kar dekheñ to
tum ne dekhā hai vahī ḳhvāb jo maiñ ne dekhā
is ko kahte haiñ mohabbat kā asar dekheñ to
aap ishrat-kada-e-ġhair kī rākhī kar ke
aa.eñ aur aa ke kabhī apnā bhī ghar dekheñ to
ḳhīragī aur tapish dhuup kī hai ba.ad kī baat
pahle ye shab to kaTe log sahar dekheñ to
rañg chehroñ se ka.ī logoñ ke uḌ jā.egā
zikr merā kabhī is bazm meñ kar dekheñ to
maiñ bhī phir tujh se kahūñgā ki bahā ḳhuun bahā
terī jānib vo kabhī dīda-e-tar dekheñ to
phir vo yuuñ auroñ pe tanqīd kī jur.at na kareñ
apnā bhī chāk-e-garebāñ vo magar dekheñ to