ik ḳhvāb laḌakpan meñ jo dekhā thā vo tum the
paikar jo tasavvur meñ ubhartā thā vo tum the
ik aisā ta.alluq jo ta.alluq bhī nahīñ thā
phir bhī maiñ jise apnā samajhtā thā vo tum the
thā qurb kī ḳhvāhish meñ bhī kuchh husn ajab sā
jo gird mire rañg thā naġhma thā vo tum the
yak-dam jo ye tanhā.ī mahakne sī lagī thī
jhoñkā jo abhī ḳhushbū kā guzrā thā vo tum the
is vāste mai-ḳhvārī kā ilzām thā mujh par
mujh meñ jo vo ik nashsha sā rahtā thā vo tum the
ġhībat kā hadaf tum ne jo rakkhā thā vo maiñ thā
aur maiñ ne jise TuuT ke chāhā thā vo tum the
be-masraf-o-be-kār huuñ ab raakh kī mānind
chiñgārī thī jo mujh meñ jo sho.ala thā vo tum the
lagtā hai vo shahr ab kisī āseb-zada sā
kyā jis ke liye jashn sā barpā thā vo tum the