Murtaza Barlas

aankh barsi hai tere nam pe sawan ki tarah

Murtaza Barlas

Rampur, Uttar pradesh, India

1934
aañkh barsī hai tire naam pe sāvan kī tarah
jism sulgā hai tirī yaad meñ īñdhan kī tarah
loriyāñ dī haiñ kisī qurb kī ḳhvāhish ne mujhe
kuchh javānī ke bhī din guzre haiñ bachpan kī tarah
is bulandī se mujhe tū ne navāzā kyuuñ thā
gir ke maiñ TuuT gayā kāñch ke bartan kī tarah
mujh se milte hue ye baat to sochī hotī
maiñ tire dil meñ samā jā.ūñgā dhaḌkan kī tarah
ab zuleḳhā ko na bad-nām karegā koī
us kā dāman bhī darīda mire dāman kī tarah
muntazir hai kisī maḳhsūs sī aahaT ke liye
zindagī baiThī hai dahlīz pe birhan kī tarah
Top Urdushayar.com