majlis-e-aish garm ho yā-rab
yaar agar hove sham-e-bazm-e-tarab
ḳhūn-e-dil āñsuoñ meñ sarf huā
gir ga.ī ye bharī gulābī sab
mohr hai dāġh-e-ġham siiñ dil kī barāt
naqd-e-dīdār hai hamārī talab
chāhiye zāhidoñ kuuñ hujra-e-tañg
bāġh-e-āshiq hai vus.at-e-mashrab
dil mirā hai tire taġhāful siiñ
andalīb-e-gul-e-bahār ġhazab
dil kī jāgīr hai jamāl-ābād
jab siiñ paayā hai ishq kā mansab
na mile jab talak visāl us kā
tab talak faut hai mirā matlab
gul kī mānind mat pareshāñ ho
band kar misl-e-ġhuncha apne lab
sham.a o parvāna siiñ sunā hai 'sirāj'
sidq-e-dil siiñ adab hai tark-e-adab