Sabir Waseem

khile hue hain phul sitare dariya ke us par

Sabir Waseem

khile hue haiñ phuul sitāre dariyā ke us paar
achchhe log base haiñ saare dariyā ke us paar
mahkī rāteñ dost havā.eñ pichhlī shab kā chāñd
rah ga.e sab ḳhush-ḳhvāb nazāre dariyā ke us paar
bas ye soch ke sarshārī hai ab bhī apne liye
bahte haiñ ḳhushbū ke dhāre dariyā ke us paar
shaam ko zindagī karne vaale rañg-birañge phuul
phuul vo saare rah ga.e pyāre dariyā ke us paar
yuuñ lagtā hai jaise ab bhī rasta takte haiñ
ga.e zamāne ret kināre dariyā ke us paar
gūñjtī hai aur lauT aatī hai apnī hī āvāz
āḳhir kab tak koī pukāre dariyā ke us paar
dahkī huī ik aag hai 'sābir' apne siine meñ
jaate nahīñ par is ke sharāre dariyā ke us paar
Top Urdushayar.com