Sabir Waseem

wo phul tha jadu-nagri mein jis phul ki KHushbu bhai thi

Sabir Waseem

vo phuul thā jādū-nagrī meñ jis phuul kī ḳhushbū bhaa.ī thī
use laanā jaan gañvānā thā aur apnī jaan parā.ī thī
vo raat kā tūl-tavīl safar kyā kahiye kaise aa.ī sahar
kuchh maiñ ne qissa chheḌā thā kuchh us ne aas bañdhā.ī thī
ḳhvāboñ se udhar kī masāfat meñ jo guzrī hai kyā pūchhte ho
ik vahshat chār-pahar kī thī ik jaltī huī tanhā.ī thī
vo raat ki jis ke kināroñ par ham milte aur bichhaḌte the
ik baar mujhe tanhā pā kar us kī bhī aañkh bhar aa.ī thī
har shaam ufuq kī duurī par koī sahmā sahmā phirtā thā
tasvīr jo us kī banā.ī to ḳhud apnī shakl banā.ī thī
Top Urdushayar.com