palkoñ par nam kyā phail gayā
har samt dhuāñ sā phail gayā
mirī rekhā-posh hathelī par
ik shaam kā saayā phail gayā
jo harf chhupāyā logoñ se
vo chehra-ba-chehra phail gayā
tirā naam liyā to sahrā meñ
ik saaya utrā phail gayā
ab mere aur ḳhudā ke biich
ik hijr kā lamha phail gayā
jab na.e safar par niklā maiñ
rastoñ par sadma phail gayā
shāmoñ kī surḳhī simaT ga.ī
rātoñ kā qissa phail gayā
maiñ pyaas bujhāne pahuñchā to
dariyā meñ sahrā phail gayā
is arz o samā kī vus.at meñ
dukh terā merā phail gayā