kartā hai koī aur bhī girya mire dil meñ
rahtā hai koī aur bhī mujh sā mire dil meñ
vo mil gayā phir bhī ye lagātār udāsī
shāyad hai koī aur bhī dhaḌkā mire dil meñ
ik rañj meñ Duubā huā be-nām musāfir
aayā thā baḌī duur se Thahrā mire dil meñ
jis shaam ko bhūle hue ik umr huī thī
chamkā hai usī shaam kā taarā mire dil meñ
ik huuk sī uThtī hai sar-e-bām-e-tamannā
vo merī ḳhushī se kabhī rahtā mire dil meñ
aa.e haiñ yahāñ tak to chalo us se bhī mil leñ
ye dhyān bhī ik baar to aayā mire dil meñ
jis aag ko kahte haiñ qayāmat se nahīñ kam
bahtā hai usī aag kā dariyā mire dil meñ