Sabir Waseem

pahla patthar yaad hamesha rahta hai

Sabir Waseem

pahlā patthar yaad hamesha rahtā hai
dukh se dil ābād hamesha rahtā hai
paas raheñ yā duur magar un ā.ankhoñ meñ
mausam-e-abr-o-bād hamesha rahtā hai
qaid kī ḳhvāhish us kā dukh ban jaatī hai
jo panchhī āzād hamesha rahtā hai
ek gul-e-be-mehr khilāne kī ḳhātir
qarya-e-dil barbād hamesha rahtā hai
is ke liye maiñ kyā kyā svāñg rachātā huuñ
vo phir bhī nāshād hamesha rahtā hai
paañv thameñ to kaise 'sābir' apne saath
ek safar ījād hamesha rahtā hai
Top Urdushayar.com