ye umr bhar kā safar hai isī sahāre par
ki vo khaḌā hai abhī dūsre kināre par
añdherā hijr kī vahshat kā raqs kartā hai
tamām raat mirī aañkh ke sitāre par
havā-e-shām tire saath ham bhī jhūmte haiñ
kisī ḳhayāl kisī rañg ke ishāre par
kisī kī yaad satā.e to jā ke rakh aanā
mahakte phuul kisī aabjū ke dhāre par
ufuq ke paar azal se ik aag raushan hai
ye saarā khel hai us aag ke sharāre par