Sabir Waseem

ek shakl be-irada sar-e-baam aa gai

Sabir Waseem

ik shakl be-irāda sar-e-bām aa ga.ī
phir zindagī meñ faisle kī shaam aa ga.ī
dasht o makāñ ke fāsle be-rañg-o-nūr the
ik rañg le ke gardish-e-ayyām aa ga.ī
vo rahguzar jo aa.ī to sar ko sajā liyā
dāman kī ḳhaak aaj mire kaam aa ga.ī
phir ik hisār TuuT gayā iḳhtiyār kā
phir ik sadā-e-kūcha-e-ilzām aa ga.ī
ham bolte rahe to rahe lafz sañg-e-rāh
chup ho ga.e to manzil-e-ilhām aa ga.ī
'sābir' zamīñ pe rañj bhī us ne utāre haiñ
lekin ye fard-e-jurm mire naam aa ga.ī
Top Urdushayar.com