Sabir Waseem

khel rachaya usne sara warna phir kyun hota main

Sabir Waseem

khel rachāyā us ne saarā varna phir kyuuñ hotā maiñ
us ne hī ye bhiiḌ lagā.ī banā huuñ sirf tamāshā maiñ
us ne apne dam ko phūñkā aur mujhe bedār kiyā
maiñ paanī thā maiñ zarra thā lambī niiñd se jaagā maiñ
us ne pahle ruup diyā phir rañg diyā phir izn diyā
bahr o bar meñ barg o samar meñ na.e safar par niklā meñ
ā.īñe kī ḳhvāhish kar ke ḳhud ko bhī āzār diye
dekh liyā ab ā.īñe meñ kab huuñ tere jaisā maiñ
qatl-o-ġhārat ke hañgāme shor-sharāba to hogā
mujh ko yahāñ par bhejne vaale vahāñ na rahtā achchhā maiñ
Top Urdushayar.com