jo ḳhvāb mere nahīñ the maiñ un ko dekhtā thā
isī liye aañkh khul ga.ī thī isī liye dil dukhā huā thā
udāsiyoñ se bharī huī iltijā sunī thī
kisī nagar meñ koī kisī ko pukārtā thā
vo ik sadā thī ki haft-ālam meñ gūñjtī thī
na-jāne kaise koī kisī se bichhaḌ gayā thā
ajiib hairat bikherte the vo dāstāñ-go
ki shab ne jaane se saaf inkār kar diyā thā
guzishtagāñ ko bhī ye gila thā sunā hai maiñ ne
sunā hai un ko bhī ism-e-āzam nahīñ milā thā
fazā sunahrī thī rañg phailā thā chaar jānib
ki chāñd se vo zamīñ pe jaise utar rahā thā
safar ke āḳhir pe sham.eñ raushan sī ho ga.ī thiiñ
koī masarrat kī sab hadoñ se guzar gayā thā