Sabir Waseem

ek safar par use bhej kar aa gae

Sabir Waseem

ik safar par use bhej kar aa ga.e
ye gumāñ hai ki ham jaise ghar aa ga.e
vo gayā hai to ḳhushiyāñ bhī saarī ga.iiñ
shāḳh-e-dil par ḳhizāñ ke samar aa ga.e
laakh chāho magar phir vo rukte nahīñ
jin parindoñ ke bhī bāl-o-par aa ga.e
ham to raste pe baiThe haiñ ye soch kar
jo ga.e the agar lauT kar aa ga.e
us se mil ke bhī kab us se mil paa.e ham
biich meñ ḳhvāhishoñ ke shajar aa ga.e
us ne us paar apnā baserā kiyā
ham ne dariyā ko chhoḌā idhar aa ga.e
ek dushman se milne ga.e the magar
ik mohabbat ke zer-e-asar aa ga.e
Top Urdushayar.com