Sabir Waseem

ek shor sameTo jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao

Sabir Waseem

ik shor sameTo jīvan bhar aur chup dariyā meñ utar jaao
duniyā ne tum ko tanhā kiyā tum is ko tanhā kar jaao
is hijr o visāl ke biich kahīñ ik lamhe ko jī chāhtā hai
bas abr-o-havā ke saath phiro aur jism o jaañ se guzar jaao
tum reza reza ho kar bhī jo ḳhud ko sameTe phirte ho
so ab ke havā pazhmurda hai is baar zarā sā bikhar jaao
jañgal kā ghanerā añdhiyārā ab aan basā hai shahroñ meñ
in shahroñ ko yūñhī rahnā hai ab zinda raho yā mar jaao
ik tārīk havā kā jhoñkā ruk ke ye mujh se kahtā hai
ye raushan galiyāñ jhūTī haiñ tum 'sābir' apne ghar jaao
Top Urdushayar.com