kisī nai ruuh ko jismī qabā.eñ bhejī haiñ
duā.eñ māñgī thiiñ lekin davā.eñ bhejī haiñ
jahāñ pe koī ma.ānī nahīñ the lafzoñ ke
ḳhamosh ham ne vahāñ par sadā.eñ bhejī haiñ
na jaane kaun sī duniyā se bārhā kis ne
ajab zabān meñ kuchh ittilā.eñ bhejī haiñ
mazāq uḌāyā hai mausam ne tishna-kāmī kā
baġhair paanī kai kaalī ghaTā.eñ bhejī haiñ
kisī se daulat-e-ġham aaj tak nahīñ bāñTī
hamesha chiTThī meñ dil-kash kathā.eñ bhejī haiñ
kahāñ kahāñ tire kāfar ne sar jhukāyā hai
kahāñ kahāñ se muqaddas duā.eñ bhejī haiñ