sunahrā hī sunahrā vāda-e-fardā rahā hogā
qayās-ārā.ī kā be-sāḳhta lamha rahā hogā
samundar meñ chune motī na tāroñ kā jahāñ dekhā
zarūr schōl meñ taḳh.īl par pahra rahā hogā
kahā thā jis ne tum se haañ maiñ tum se pyaar kartā huuñ
mire andar chhupā ik be-dhaḌak laḌkā rahā hogā
maiñ ab bhī Darte Darte apne haq kī baat kartā huuñ
mirī ta.alīm meñ Dar kā baḌā hissa rahā hogā
tumhārī bazm se ġhusse meñ uTh ke aa gayā thā maiñ
na jaane ba.ad meñ kis qism kā charchā rahā hogā
gayā hai chhoḌ kar mahfil kuchh itnī be-dilī se vo
ki bāhar bhiiḌ meñ bhī vāqa.ī tanhā rahā hogā
vo jis ne mujh ko registān meñ paanī pilāyā thā
mujhe lagtā hai ḳhud vo mehrbāñ pyāsā rahā hogā